Attahiyat Ki Fazilat
ATTAHIYAT KI FAZILAT
Jannat me ek neher hai,
Jis ka naam"salaat"hai,
Us neher ke kinaare ek darakhth hai,
Jis ka naam "tayibaat" hai,
Us par ek parinda hai jiska naam"tahiyaat" hai,
Jis waqt banda namaz me"attahiyaatu lillahi wassala watu wa tayibaatu"
Padhta hai to woh parinda uss darakhth se utar kar uss neher me ghota maarkar nikalta hai,
Aur apne paron ko jhatakta hai,aur jo katre uss ke paron se girte hain uss ki ginti ke
Barabar allah azzowajal ek ek farishta paida karta hai,
Aur woh farishte uss namazi ke liye qayamat tak maghfirat maangte hain.
***********************SUBHANALLAH**********
Assalamu Alaikum bhai...
ReplyDeleteagar is riwayat ka hawala mil jata to zyada bahtar hota...